bro....village life hoti hi slow moving, less materialistic, much time for others etc ke liye. tumhe village nd chote towns me hi shanti milegi, agr tum ambitious nhi ho to. city apko oppertunity, materialism, fast life etc degi. city me isiliye dusro ke liye time nhi hota. isiliye relationship nhi ban paate jyada. although ye to person to person pe depend krta hai. coz relationship banane wale to cities me bhi bhut se logo se jud ke rehte hai.
bhai gaaw me kheti me hi aap kuch kama sakte ho. agr modern days technology (drip irrigation etc), medicinal plants, high income fruits/vegetables etc grow kre to accha kamai ho skata hai.
or agr aap hill station or ache touristi place me hai to aap apna home stay bana sakte hai kam kharche me.
or ek option animal products (milk, ghee etc) or unke breeding se bacche krke bechne se bhi rupee kama sakte hai.
or ek option aap city se kuch products etc kharid ke, gaawo me bech sakte hai different villages me. like clothes, electronics etc.