Ghost Stories and Paranormal Activities

does these paranormal incidents will go on to become a thing of past in future, let say half a century from now?? places are rapidly urbanizing and these incidents are mostly heard in rural or small town. Many people including me must have had couple of encounters but for me it was always something of fun in my boring life. 😅 😅never took it too seriously.

Even today or in future if there would be actual serious experiences of people it won't gather much attention as people will shy away from being labelled as unscientific or looney.

Tourist places often try to sell local legends, myths, and folklore to attract younger generations. While many people enjoy these cultural thingy but it's uncertain whether belief in such supernatural phenomena will persist in the coming years. It's more likely that these themes will continue to be just limited to artistic and commercial contexts, such as movies, games, and literature (or podcasts) and disappear from personal experiences.
science is knowledge of humans, which they can explain nd proved. thats a limit of human mind. that doesnt mean "other things nd phenomenon" not present in this world. for example science cant measure or do experiment in god, aatma etc. these things always remain with human society. thats why u find both kind of scientist, atheist nd theist.
now ghostly nd strange experience not limited to rural areas. its happens in most himalayan states, thats why most people here believe in that. even in delhi like metro cities. we heard ghostly experience/stories time to time. so i dont think these things is going to anywhere. even many people who leave their villages, came back to their village to worship their guardian/ancestrol devi/devta...when they face problems in their life. many times their problems also solved/removed.
personally i believe in 50:50 in science nd paranormal/holy incidents etc. although i dont believe in other's horror stories, but take it as intresting stories. not coz haunted things not happened with anyone, but most people lies or wrongly understand incidents in haunted stories cases. so we dont know who is lying nd who is telling truth. only believe in anyone haunted story, if i see that incident.
 
ye story hai humare kirayedar ladke ki...jo abhi graduation ke third year me hai. vo apne family (mummy nd one big sister) ke sath 5 saal pehle class 11th krne humare yaha kirayedaar ban ke aaye. papa uske mumbai me kaam krte hai.
jo ladka hai, uska grah sayad kamjor hai. tabhi ushe ghost entities bhut baar dikhe hai. mai is ladke ko jitna janta hu,,,vo faikne walo me se nhi hai nd thoda serious type ka bhi. usne mujhe different incident bataye the:-
1:- jab ye chota tha (class 5th)...tab gaaw me iski mummy din me ghas lene jungle nd pahado me chali jaati thi nd shaam ko aa jaati. ek din ve ishe bhi le kr chal di chutti ke din. but winter time me andhera pahado me 5:30 baje shaam se hi hone lagta hai. ghar ki taraf aate samay raste me ek naala (chota river) padta hai. or pahado me aise naalo me bhut haunted activities hoti hai. jab ve us naale ke pul ke paas pahuche, to pehle to unhe 3-4 pattharo ke unke aas paas faikne ki awwaz aayi. unhone teji se chalte huwe pul paar kiya. tabhi is ladke ne bola "mummy ye bandar ko mai patthar maar ke bhagata hu"....but uski mummy ushe pakad ke bolti hai "ghar chal pahle der ho gayi hai". or ve dono ghar pahuch jaate hai. fir ve so jaate hai. bhut saal baad uski mummy ushe batati hai ki,,,,us bandar ko unhone nhi dekha tha. but vo smjh gayi thi ki ye sirf us ladke ko dikh raha tha. tabhi vo ushe kheech kr le jaati hai.
2:- ye incident...us ladke ke sath 12th class me huwa. jab ve humare yaha aa chuke the. humare small town se 5 km dur pe momins ka kabristan hai nd vaha pe kuch momin nd others rehte hai. vaha pe trijunction hai, to ek rasta humare city ke liye, ek dusre city jaane ke liye nd ek station jane ke liye hai. humare kirayedaaro ka saman unke gaaw se bheja tha gaadi wale ke hatho. to ve raat ko 9 baje us trijunction pe pahuchte hai saman lene. idhar se humara kirayedaar ka ladka apne ek friend ke sath bullet le ke us trijunction ki taraf jaate hai. kirayedaar ka frnd unke hi gaaw ka hota hai, to vo bike side me laga kr. thoda sa aage ja ke us gaadi wale se saman utarwane lagta hai. humara kirayedaar tab thodi dur pe hi bike ke paas khade khade mobile dekh raha hota hai. ab vo area thoda sunsaan hai. or vaha kuch dukaan etc us trijunction se 100-200 meter pe hai. jab vo mobile dekh raha hota hai, tab ek aadmi aata hai or uske pet pe hath rakh ke bolta hai "ye kya hai??" us time humare kirayedaar ka thoda pet nikla tha (jo ab nhi hai). to vo gusse me bolta hai "are tumse kya matlab, jawo yaha se". or fir vo mobile ko dekhne lagta hai. tabhi uska frnd saman le ke aata hai nd vo (kirayedaar) sir utha ke idhar udhar dekhta hai. but vo aadmi ushe dur dur tak nhi dikhta. andhere me usne pehle uska sakal bhi nhi dekha tha.
3:- third inccident first year ka hai....humara kirayedaar apne 3 frnd ke sath ushi trijunction ke paas ke ek restaurant me gaya tha. vaha pe mai bhi jaat hu kabhi kabhi, coz ve butter chicken nd kadahi chicken ke liye famous hai. jab ye 4 frnd andhere me (7 baje summer) vaha pahuchte hai. to ve butter chicken order krte hai. ye charo abhi bethe hi the ki ek buddha sa aadmi aata hai. or isse bolta hai "mujhe bhi kuch de khane ko"....to kiradyedaar bolta hai "mere paas nhi hai kuch dene ko" or vo buddha chala jaata hai. to uske dost puchte hai kisse baat kr raha. vo kirayedaar bolta hai "are ye buddha mujhe kuch mang raha tha. tum log so rahe ho kya". uske dost ek dusre ka sakal dekhte reh jaate hai. nd bolte hai, vaha pe to koi buddha nhi tha. or ye log vaha khana khaa kr. 5 km bhaagte huwe ghar aa jaate hai, coz ghar me datte hai ghar wale der se ghar aapne pe.
look guys ye ghost ke sath baat lrne wala first inccident sun raha tha mai. but kirayedaar ne ye mujhe baad me bataya. personally mene 3 din baad nicche kirayedaaro ke yaha se subah chillane ki aawaz suni. but mene gaur nhi kiya. fir 5 days ke baad hum sham ko bethe the roof pe. tab us ladke ki sister nd aunty ji bhi aaye the. tab aunty batati hai, ye ladka to parso apne sath bhoot chadwa ke laaya tha. tab aunty ye batati hai ki jab se ye raat ko aaya tha vaha se, tab se raat ko badbadana, ghar walo pe chilana nd apne other frnd ko random msg likh ke bhejna kr raha tha. nd isko kuch yaad bhi nhi tha. to ve ek bhoot bhagane wale ko bulate hai. tab vo batata hai ki raat ko vo bhoot iske piche piche aa gaya tha. humara kirayedaar apne dosto ko msg bhej kr bol raha hota hai ki "mujhe chicken khane ka bhut mann kr raha, aaj bhi chalenge sham ko vaha". but ye baat ushe yaad hi nhi thi ki vo apne dosto ko kya msg kr raha. fir vo bhoot bhagane wala pooja krta hai nd ye theek hota hai. or ye chikhne chillane ki awaaze nd pooja me mantro ki aawaz to mene subah subah khud suni thi kitayedaaro ke vaha se. jo basement me rehte hai.
4:- ye aakhiri incident pichle saal ka hai...subah 5 baje ke time humara kirayedaar nd uska frnd meri scooty le ke usi trijunction ke paas se ja rahe the stadium ki or. tab humara kirayedaar chala raha tha scooty. tabhi ushe ekdum se aisa lagta hai ki jese koi kali parchai theek uske ankho ke samne se gujri. or vo ek dum se break lagta hai. us din bus yahi huwa.
ab guys. mene he stroy suna di, ab aap logo ke upar hai ishe manna ya na manna. mujhe bhi believe nhi hota ki ghost ne is ladke se baat ki, but vo other ko nhi dikha. aisa to movie me hota hai. mai bhi iski other stories ko 100% sach nhi manta. but yes mene subah unke room se chillane nd mantra padhne ki aawaz suni thi. jo chal (ghost possession) ke time pe hi hota hai. ye to mai 100% sure hu. or vo trijunction momin kabristan ki vajah se haunted mana jaata hai.
 
Last edited:

Latest Replies

Featured Content

Trending Threads

Back
Top