hmmm...ye bhai sahab bol rahe ki future (2030) me logo ke paas ghar kam honge nd log kiraye pe rahenge. but mujhe lagta hai aisa tier 1 cities me ho sakta hai,,,but tier 2 nd tier 3 cities me aise hone ke chance kam hai (itne jaldi).
mai bhi ghar ke saman (specially food) lete rehta hu, last 9-10 saal se. yes prices bade hai, but itne bhi nhi ki hai tauba wala haal ho gaya ho. yes ab pehle ki comparision me 1000 rupee me kam cheeze mil rahi. but bhut si cheeze humare necessity me jud bhi gayi. 7 saal pehle mai facewash, purfume, senetizer, sun screen, petrol, mobile data etc nhi leta tha...but ab ye necessary ban gayi hai mere liye. same goes for food. ab coffee, pizza, momos, pasta, oats, poha etc many things add ho gaye.
i mean hum consume jyada krne lage hai, tabhi hume apne paise kam lagne lage hai. but unhi paiso me koi or humse acha ghar chala sakta hai nd humse jyada khush bhi reh sakta hai. most common insaan ki necessity nd greed kabhi khtam nhi hote

. jab tak satisfaction na ho life me, tab tak kitne bhi paise kama lo, vo kam hi padte rahenge.